Dard aur dosti

Dard Aur Dosti



Kal raat mein chup chaap , thandi hawa ke beech akele baith ke roya..roya har us pal ko yaad karke jisme main bahut khush tha aur shayad jin palon ko main phir se dhoond raha tha..un palon ko apne se door jaate dekh shayad main un aansuon ko rok nahin paaya..akele baith ke yehi khayal aya ki shayad hum kitne adhoore hote hain akele..jo log kareeb hote hain humare se hume unki kitni zaroorat hoti hai..kya karunga main jab woh mere saath nahin honge..aur roya..aur aansu bahe..khud hi apnse aanshu ponchh raha tha..laga shayad koi ho mere paas..jo mujhe hansaye..chup karaye..kahe ki woh mera kabhi bhi saath nahin chhodenge..par wahan koi aisa tha nahin..

Dheere dheere yehi socha ki shayad yeh jo log hain, kabhi na kabhi toh mere se door jayenge..kya karunga tab main..kisi ek ki kami bhi mujhe khalegi..har kisi ki humari zindagi mein ek jagah hoti hai shayad jo koi aur poori nahin kar sakta..kaisi hogi zindagi tab ? ..iska koi jawab nahin the mere zahan mein..main nahin janta tha ki age kya hoga..kya koi aur meri zindagi mein ayega ki koi meri zindagi se jaayega..main bas dukhi tha sirf is 'ehsaas' se hi ki woh log mere paas nahin hai,mere saath nahin hain..

Pata nahin main kya soch raha tha aur kyun soch raha tha..bas soch raha..khush hona bhi chaha..socha un logon ke liye hi khush ho jaun jo mujhe khush dekhne chahte hain..jo mujhe hanste hue dekhna chahte hain..ek baar ko rote rote hansa bhi..par zyada der khush nahin reh paaya..is adhoorepan se main dukhi hota hi raha..Phir yehi ehsaas hua ki shayad ye pyaar hi hai un logon ke liye jo mere kareeb hai jinke door jaane se mujhe achha nahin lag raha..Aise log hain jihone mujhpe kabhi pyar ki barish kari thi..baarish kar rahe hain..jinhone mujhe kabhi na bhulaye jaane waale pal diye the..pal khushi ke..pal dard ke bhi..pal khatte meethe..par anmol pal..

Dheere dheere aansu tham gaye..pata nahin kyun thame kaise thamee...par tham gaye..Utha ..akele paidal chala..thandi hawa ke beech..har us admi ka chehra aankhon ke saamne tha jo meri zindagi hai..jinse meri zindagi hai...man mein ek ichha thi ki bas woh jahan ho ..jaise rahein khush rahein..shayad unke liye main sirf us samay dua hi maang sakta tha..aur jahan tak raha mera sawaal..maine shayad us dard se dosti kar li thi..shayad..'ye mera dost' mere se khud hi door chale jaayee... !!!

3 comments:

anshu said...

:)

machau hai...hamesha ki tarah..

par humein kal ki chinta kyu itni akahrti hai??? hum kyu nahin samajhte ki samay kabhi nahin rukta? usne aage badhna hai...aur humein bhi uske saath aage hi badhna padega...ki jo aaj hamare saath hai...wo shayad kal na ho...aur uspe hamara bass bhi nahin hai...un palon ki yaadein hai hamare paas...aur bas wahi hamari hai...!! hum kyu soochte hain ki kal kya hoga...!! kyu kal ke baare mein aaj ke luch palon ka mazaa kam karte hain..!!

sawal boht hain... :) jawab mere paas bhi nahin hai..!! :)

snehilbasoya said...

yaadon ka ek jhokha
aansuon mein beh kar chala gaya
reh gayi ek soch
ek ehsaas chhod kar chala gaya
majboor jo hue hum
pal pal sochein pal pal royein
us pal ka akelapan hamein
deewana bana kar chala gaya

Snehil

anshu said...

likhne walon ki kami thode hi hai..!! ;)